Domain Ko Hosting Se Kaise Connect Kare : Simple Step by Step Process

April 1, 2016

Friends Domain purchase karne ke liye log sabse jyada Godaddy ko use karte hain. But Godaddy ki hosting bahut kam log use karte hain. Mostly log Bluehost, Hostgator etc jaisi Hosting ko use karte hain. Bhut sare logo ko Domain ko hosting se connect karne me bhut problem hoti hai. Aaj is tutorial me ham aapko domain ko hosting se connect krne ke bare me batayenge. Koi problem aaye to comment kare ham aapko solution bi provide karenge.

Domain Ko Hosting se Kaise Connect KareMe yha aapko Godaddy ke domain ko Bluehost ki hosting se connect krke dikhaunga. Agar aapka domain Godaddy ke alava khi aur hai to bi koi problem nahi, process sabka same hi rhega.

Steps

Domain me Nameservers Kaise Update Kre – How to Update Nameserveres

1. Godaddy account ko login kare aur domain list par jaye.

2. Ab aap jis bi domain ko hosting se connect krna chahte hain uske samne diye “Manage DNS” button par click kre

 

go-to-domain-list

 

3. Mangae DNS par click karte hi aapke samne domain ka setting page khulega. Jha ek “Nameservers” ka option hai. Nameserver option me aapko Manage par click krna hai.

see-nameservers

4. Ab aapko Nameserver Setting me “Cutom” wala option select krna hai. Custom select krne pe aapko “Enter Cutom Nameserver” ka option milega us par click krna hai

custom-nameserver

5. Ab aap apne hosting se mile Nameservers ko yaha add kare aur “ok” kare. Jaise niche picture me maine kiya hai

enter-your-nameservers

6. Very good aapne Nameservers update kar diye ab “Save” par click karke save kar dijiye.

save-name-servers

7. Nameserver Update karne ke bad aapko ab “A” record update karna hoga jisme ham domain ko hosting ki “IP” se connect krenge

8. Ab aap Nameserver save krne ke bad “DNS Zone File” par click kre

go-to-a-records

9. DNS Zone File me aapko “A” record ka option milega aapko usme picture ke according “edit” par click krna hai

edit-dns-zone-file

 

10. “Edit Zone Record” me aapko “Point to” wale option me jo IP hai use hata kar apni hosting ki IP paste karni hai. IP paste karke “Save” kar de

put-ur-ip-address11. Good aapne domain ko hosting par point kar diya hai, Ab aapko hosting cpanel me domain Add karna hai

Addon Domain in Cpanel – Domain Ko Cpanel me Kaise Add Kare

12. Apna control panel ko login kare aur “Addon Domains” par click kre

cpanel-addon

13. Ab apna Domain ka name enter kre aur password dale. Iske bad picture ke according “Add Domain” par click kre

addon-domain

14. Good, apka domain successfully hosting me add ho chukka hai

added-domain

15. Domain ko hosting se connect krne ke bad records update hone aur website ke live hone me 24 hours lagte hai but mostly pura process 2-3hours me complete ho jata hai aur aapki website 2-3 hours me Live ho jayegi.

Is tutorial me pura process step by step btaya gya hai but abi bi aapko agar koi confusion ho to hame comment kre.
Thanks and Enjoy